mauj-dar-mauj hawaon se bacha launga khud ko main dasht ke panjon se chhuda launga hausla rakhiye main sahra se palat aaunga zarre zarre se mohabbat ka pata launga mere hathon ki lakiron mein jo hain uljhe hue un hi gesu ke liye phul bacha launga tere mathe pe chamakte hue rangon ki qasam tere honton pe tarannum ki sada launga main jo paband-e-wafa hun tu wafa zinda hai main isi tarz-e-riyazat ka sila launga mausam-e-khushk hua tez magar wada raha surkh phulon ke liye nam-e-wafa launga shab ki tanhai mein aankhon se lahu tapkega aise 'alam' ki main taswir bana launga