farogh-e-husn mein kya be-sabaat dil ka wajud wo aaftab ye shabnam wo aag ye barud zahe madarij-o-irfan-o-lutf-e-bazm-e-shuhud hamin hain abd hamin abadiyat hamin mabud wo bar bar mohabbat se zikr-e-khair karen shahid-e-gham ki yahi fatiha yahi hai darud sawad-e-sham-e-mohabbat hai dud-e-be-atish tulu-e-subh-e-tamanna hai aatish-e-be-dud ba-lutf-o-aish-o-nishat-e-jahan mashu nazan darin sara-e-adam aashna che-hast wa che-bud nigah-e-naz ke jauhar ye pae kya mumkin fughan bhi tegh hai lekin hai tegh-e-zang-alud uthi ghata ki tarah chha gai faza ki tarah hudud-e-husn mein tasir-e-ishq-e-na-mahdud khuda ke jalwa-e-qudrat ka puchhna kya hai jidhar jidhar nazar utthi udhar udhar maujud tariq-e-ishq mein kyun bar-e-gham uthae na dil isi pahad ke niche hai manzil-e-maqsud tule hain phir mah-o-anjum mujhe satane par dil-e-hazin wahi ek nala-e-falak-paimud ghazab hua ki muqaddar mujhe wahan laya jahan sukun bhi napaid lutf bhi mafqud raha ye apni hayat-o-mamat ka aalam kabhi wajud adam tha kabhi adam tha wajud nigah-e-naz mein dil ka kuchh eqtidar nahin agar abhi hai ye maqbul to abhi mardud hawas-o-hosh farishton ke jis se rah na saken faza mein gunj raha hai wo naghma-e-daud badhae wadi-e-hasrat mein kya qadam koi ki khizr-e-rah bhi gum aur rah bhi masdud farogh-e-husn taghayyur-pasand kuchh bhi nahin ziya-e-kirmak-e-shab-tab ki hai koi numud yahan ada-e-faraez ki suraten hain juda namaz-e-ishq mein wajib nahin ruku-o-sujud payam-e-marg bhi pahuncha nawed-e-zist ke sath jo ittifaq se amrit mila to zahr-alud wafa-o-ishq ki dushwariyan khuda ki panah ajab ajab hain sharait ajab ajab hain quyud tasarrufat-e-mohabbat ke sab karishme hain nahin to kyun ho tasadduq ayaz par mahmud adam se aae the hum aur phir adam ko gae ye hai haqiqat-e-qabl-az-wajud-o-baad-e-wajud tera qalaq bhi tera dard bhi tera gham bhi hamare ishq ke itne gawah hain maujud khuda kare ki na dawa karen khudai ka suna to hoga buton ne natija-e-namrud bashar ko quwwat-e-ehsas ne kharab kiya jo ye na ho to jahan mein na phir ziyan hai na sud rah-e-talab mein qadam dagmagae jate hain sambhaal ya mere allah ya mere mabud nigah kard zi-qahr-o-itab fitna-gare ba-in tawaqquf-e-andak hawas-o-hosh-e-rabud jamal-e-shahid-e-mutlaq se jis ko matlab hai wo dil said nazar asad aarzu masud janab-e-'nuh' ko tufan-e-gham se khauf nahin ki ikhtiyar mein un ke hai kashti-e-maqsud