saman hai is darja ambar se sar phodo didar karo chhat ka diwar se sar phodo dariya ke musafir ko sahil ki tamanna kyun gardab se tum uljho manjhdar se sar phodo aaghosh mein tv ki har sham karo kali har subh isi basi akhbar se sar phodo duniya ke takabbur se tum baad mein takrana filhaal miyan apne pindar se sar phodo mat dekh ke ghabrao logon se pati sadken behtar hai isi rashk-e-kohsar se sar phodo komal hain ragen is ki nazuk hai badan 'saurabh' aaram se dhire se ab pyar se sar phodo