farq koi nahin magar hai bhi! talkh donon hain zahr bhi mai bhi shor itna hai jis ke hone ka kaun jaane ki wo kahin hai bhi sina-e-admi ki baat hai aur yun to chhalni hai sina-e-nai bhi yun bhi chup hun tere badalne par pahle jaisi nahin koi shai bhi mere bare mein sochne wale mere bare mein kuchh karen tai bhi de rahe hain wahi mujhe dushnam bolni hai jinhen meri jai bhi sur badalne ka tha mahal 'rashid' tum ne badli nahin magar lai bhi