farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise but ko yun puj rahe hain ki khuda ho jaise ek pur-pech ghina ek hariri naghma hae wo husn ki jangal ki sada ho jaise ishq yun wadi-e-hijran mein hua mahw-e-khiram kharzaron mein koi aabla-pa ho jaise aarizon par wo tere tabish-e-paiman-e-wafa chandni raat ke chehre pe haya ho jaise is tarah dagh damakte hain dil-e-wahshi par qais ke jism pe phulon ki aba ho jaise kitna dilkash hai teri yaad ka pala hua ashk sina-e-khak pe mahtab gira ho jaise ratjage wo bhi nashat-e-gham-e-mahbub ke sath husn walon ne bada kaam kiya ho jaise hijr ki raat ajab rang hai paimane ka dast mai-khwar mein bujhta sa diya ho jaise khak-e-dil par tere sayyal tasawwur ka khiram reg-e-sahra pe rawan baad-e-saba ho jaise aaj us shokh ki chitwan ka ye aalam hai 'zahir' husn apni hi adaon se khafa ho jaise