fasad-e-duniya mita chuke hain husul-e-hasti mita chuke hain khudai apne mein pa chuke hain mujhe gale ye laga chuke hain nahin nazakat se hum mein taqat uthaen jo naz-e-hur-e-jannat ki naz-e-shamshir-e-pur-nazakat hum apne sar par utha chuke hain najat ho ya saza ho meri mile jahannam ki paun jannat hum ab to un ke qadam pe apna gunah-bhara sar jhuka chuke hain nahin zaban mein hai itni taqat jo shukr laen baja hum un ka ki dam-e-hasti se mujh ko apne ek hath mein wo chhuda chuke hain wajud se hum adam mein aa kar makin hue la-makan ke ja kar hum apne ko un ki tegh kha kar mita mita kar bana chuke hain yahi hain adna si ek ada se jinhon ne barham hai ki khudai yahi hain akasr qaza ke jin se farishte bhi zak utha chuke hain ye kah do bas maut se ho rukhsat kyun nahaq aai hai us ki shamat ki dar talak wo masih-khaslat meri ayaadat ko aa chuke hain jo baat mane to ain shafqat na mane to ain husn-e-khubi 'rasa' bhala hum ko dakhl kya ab hum apni haalat suna chuke hain