aa ke ab jangal mein ye uqda khula bhediye padhte nahin hain falsafa richhni ko shaeri se kya gharaz tang hai tahzib hi ka qafiya khaal chikni ho to dhande hain hazar gidadi ne kab koi doha suna gorkhar ki dhaariyon ko dekh lo suit chaupae bhi lete hain sila lomdi ki dum ghani kitni bhi ho satar-poshi ko nahin kahte haya shahr mein un ke jo guzra tha 'salim' likh diya hai main ne sara majra