fasana jaur-e-behad ka kabhi dohra nahin sakta karam harf-e-shikayat ban ke lab par aa nahin sakta mere soz-e-nihan ka raaz koi pa nahin sakta jo dil mahsus karta hai zaban par aa nahin sakta agar chahun to jal jae ishaare mein naqab un ka magar main aatish-e-didar ko bhadka nahin sakta meri fariyaad ki har lai ba-unwan-e-tarannum hai na samjhe koi main ishrat ka naghma ga nahin sakta agar hai shauq-e-nazzara mazaq-e-did paida kar baghair-e-shauq-e-behad wo nazar mein aa nahin sakta samajh len bahr-e-tufan-khez ki na-ashna maujen dil-e-sahil-talab ko ab duboya ja nahin sakta hanse koi koi roe ye apni apni fitrat hai magar 'mahir' ka dil gham se kabhi ghabra nahin sakta