gulshan-e-ilm ki nikhat hun gul-e-tar main hun qadr-dan jis ke sabhi hain wo sukhnawar main hun inqilabaat hun tahrik hun mahshar main hun jis mein aafaq sama jaen wo chadar main hun sirf ek shoala mizaji hai meri shan-e-wajud qatra-e-abr hun dariya hun samundar main hun roz-e-awwal se hua hai mujhe wahdat ka shuur jo parastar-e-haqiqat hai wo shankar main hun apni fitrat se dahakti hui dhupen pi kar sard pani jo ugal deta hai kankar main hun mujh se aiwan-e-imarat ki chuni har diwar ret ki shakl mein raunda hua patthar main hun josh-e-dariya meri khamosh rawani ko samajh rah gaya tha jo kisi dhaare se kat kar main hun apni takhliq pe hai naz baja hai 'mahir' chashm-e-tanqid-e-nigaran mein hun bartar main hun