fasil-e-jaan pe sae hain zard belon ke

fasil-e-jaan pe sae hain zard belon ke
ye kaise abr se chhae hain zard belon ke

tumhaari aankhon pe khushbu utar chuki lekin
hamein to khwab tak aae hain zard belon ke

wo surkh phul kitabon mein dekh rota raha
jise bhi qisse sunae hain zard belon ke

khabar nahin bhi hawa ko to bagh jaanta hai
jo main ne ranj uthae hain zard belon ke

kuchh is liye bhi meri sans ruk rahi hai 'farah'
kisi ne zakhm dikhae hain zard belon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close