wo dasht-e-karb-o-bala mein utarne deta nahin hawa-e-tez mein mujh ko bikharne deta nahin zamin ko chumna chahun ki wo zamin pe hai wo aasman se mujh ko utarne deta nahin jhapakne deta nahin aankh wo shab-e-khalwat mere lahu ko wo aaram karne deta nahin ye kis azab mein us ne phansa diya mujh ko ki us ka dhyan koi kaam karne deta nahin kiye hain band 'ata' us ne sare darwaze kisi bhi rah se mujh ko guzarne deta nahin