fasil-e-jism gira de makan-e-jaan se nikal ye intishaar-zada shahr hai yahan se nikal teri talash mein phirte hain aaftab kai so ab ye farz hai tujh par ki saeban se nikal tamam shahr pe ek khamushi musallat hai ab aisa kar ki kisi din meri zaban se nikal maqam-e-wasl to arz-o-sama ke bich mein hai main is zamin se niklun tu aasman se nikal main apni zat mein tarikiyan samete hun tu ek charagh jala aur ab yahan se nikal kaha tha mujh se bhi ek din hawa-e-sahra ne meri panah mein aa ja ghubar-e-jaan se nikal