dar-e-khayal bhi kholen siyah shab bhi karen phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen wo jis ne sham ke mathe pe hath phera hai hum us charagh-e-hawa-saz ka adab bhi karen siyahiyan si bikharne lagi hain sine mein ab us sitara-e-shab-tab ki talab bhi karen ye imtiyaz zaruri hai ab ibaadat mein wahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen ki jaise khwab dikhana tasalliyan dena kuchh ek kaam mohabbat mein be-sabab bhi karen main jaanta hun ki tabir hi nahin mumkin wo mere khwab ki tashrih chahe jab bhi karen shikast-e-khwab ki manzil bhi kab nai hai hamein wahi jo karte chale aaen hain so ab bhi karen