fasil-e-shahr-e-tamanna mein dar banate hue ye kaun dil mein dar aaya hai ghar banate hue nasheb-e-chashm-e-tamasha bana gaya mujh ko kahin bulandi-e-ayyam par banate hue main kya kahun ki abhi koi pesh-raft nahin guzar raha hun abhi rahguzar banate hue kise khabar hai ki kitne nujum tut gire shab-e-siyah se rang-e-sahar banate hue pate ki baat bhi munh se nikal hi jati hai kabhi kabhi koi jhuti khabar banate hue magar ye dil mera ye tair-e-bahisht mera utar hi aaya kahin mustaqar banate hue dilon ke bab mein kya dakhl 'aftab-husain' so baat phail gai mukhtasar banate hue