ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya jo gird-e-matn bana tha wo hashiya bhi gaya wo dil-ruba se jo sapne the le udin ninden dhanak-nagar se wo dhundla sa rabta bhi gaya ajib lutf tha nadaniyon ke aalam mein samajh mein aain to baaton ka wo maza bhi gaya hamein bhi banne sanwarne ka dhyan rahta tha wo ek shakhs ki tha ek aaina bhi, gaya bada sukun mila aaj us ke milne se chalo ye dil se tawaqqoa ka waswasa bhi gaya gulon ko dekh ke ab rakh yaad aati hai khayal ka wo suhana talazima bhi gaya musafirat pe main teshe ke sang nikla tha jidhar gaya hun mere sath rasta bhi gaya hamein to ek nazar nashr kar gai 'anwar' hamare hath se dil ka musawwada bhi gaya