fasil-e-shahr pe likkhi hai dastan meri main kaise baat karun qaid hai zaban meri mohabbaton ke bhi ye silsile ajib se hain juda hai mujh se magar phir bhi hai wo jaan meri main apne shahr mein rah kar bhi ajnabi sa raha ki koi sunta nahin baat bhi yahan meri jo jaan leta tha andar ka haal aankhon se use sunai nahin detin siskiyan meri khudaya tera karam hai ki mujh ko izzat di wagarna itni bhi auqat thi kahan meri