sharik-e-alam-e-kaif-o-surur main bhi tha ki raat jashn mein tere huzur main bhi tha ajib waqt tha duniya qarib thi mere ghazab ye tha tere daman se dur main bhi tha ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayat tamash-bin ki tarah be-shuur main bhi tha na rukna rah mein shart-e-safar mein shamil tha thakan se warna bahut chur chur main bhi tha utar raha tha lahu kis bala ka aankhon mein tere khayal mein us dam zarur main bhi tha guzarte waqt ne pahre baitha diye 'abid' khataen un ki na thin be-qusur main bhi tha