fasil-e-zat par itra raha hun zamane se bichhadta ja raha hun main patthar ke nae paikar bana kar ba-shakl-e-mom dhalta ja raha hun wo ek chehra wo palken aur tabassum ghazal ko us ki lai pe ga raha hun tasawwur mein kisi se baat kar ke lab-o-lahje pe us ke chha raha hun udanon se abhi ghafil hun apni zamin ko aasman batla raha hun muamma ban gai hai zindagi ab main uljhi zulf ko suljha raha hun abhi us ganw mein mele lagenge abhi jis ganw par mandla raha hun shanasai hui kharon se itni gulon ko dekh kar ghabra raha hun main lafzon mein hasin ruman la kar nae lahje mein dhalta ja raha hun wahi hai wasl ki jhuti tasalli main 'aslam' ruh ko tadpa raha hun