fasl-e-bahaar aai ghunche khile chaman mein bichhde hue musafir phir aa gae watan mein ghir kar sahab aaya jam-e-sharab laya le kar rabab aaya mutrib bhi anjuman mein baad-e-sahar khiraman har shakh-e-gul badaman baham hain ahd-o-paiman nasrin-o-nastaran mein har ghuncha tera shaida har gul mein tu hai paida hai teri bu huwaida har barg-e-yasman mein rindon ko hosh tera maston ko josh tera har-su kharosh tera sahra mein aur chaman mein un ko jafa ki aadat apni wafa ki khaslat wo chaq apne fan mein hum taq apne fan mein manzar sukut-e-gham ka sahra mein ja ke dekho ghunchon ki muskurahat bekar hai chaman mein har zarre ke labon par hai ek sada-e-masti mina-ba-dosh koi aata hai anjuman mein kyon aarzuen lae kyon ranj-o-gham uthae hum kyon watan mein aae jab kuchh nahin watan mein aazad thi to us ki parwaz arsh par thi ruh-e-rawan muqayyad kyon ho gai badan mein roz-e-azal se hum ko nafrat hai iltija se matlab ki baat aakar rah jati hai dahan mein 'masud' hai ye afzal ho midhat-e-mohammad jab tak zaban teri qaem rahe dahan mein