ham-nafas sayyaad jis din mehrban ho jaega dekh lena ye qafas bhi aashiyan ho jaega tishna-lab sufar dil mein khun ka qatra nahin hum se aazurda hamara mehman ho jaega kya zarurat hai ki main apni zaban se kuchh kahun ghair ka mera kisi din imtihan ho jaega kuchh dinon gar aur aisa hi hujum-e-gham raha khatma ek roz chashm-e-khun-fishan ho jaega jabha-sai tere dar ki main karunga subh-o-sham kaba-e-maqsud tera aastan ho jaega tum ko dikhla denge gar badli zamane ki hawa ghair ka qissa hamari dastan ho jaega un se chhid jaengi baaten ranj ki sham-e-visal kya khabar thi dushman-e-jaan aasman ho jaega chahiye 'masud' kuchh zad-e-safar ki fikr bhi chand hi din mein rawana karwan ho jaega