fasl-e-gham-e-bahaar ka sauda nahin kiya is chashm-e-ashk-bar ka sauda nahin kiya majnun bane to chaak-e-gareban kiya qubul daman-e-tar-tar ka sauda nahin kiya ranginiyon ke shahr mein aa kar bhi dosto khwabon ke regzar ka sauda nahin kiya qadmon mein kya se kya nahin rakkha gaya magar hum ne tumhaare pyar ka sauda nahin kiya aankhon mein kat li hai shab-e-zist aakhirash ek pal ke intizar ka sauda nahin kiya dushman bana liya hai jahan ko magar 'amin' yaron ke eatibar ka sauda nahin kiya