kashkol-e-jaan se sikka-e-nafrat nikal kar ai dost phir se aa ke marasim bahaal kar chaha tha umr-bhar tujhe pal mein bhula diya tu ne hi to kaha tha ki koi kamal kar ye dard ka safar hai bahut dur jaega umr-e-rawan abhi se na mujh ko nidhaal kar duniya ko kya khabar ki guzarti hai hum pe kya likhte hain sher apne lahu ko ubaal kar is shahr ka to hai yahi dastur-e-zindagi bas khamushi se dekh na koi sawal kar mana ki shaeri hai asasa tera 'amin' ghar ki zaruriyat ka kuchh to khayal kar