fasl-e-gul aisi na thi baad-e-saba aisi na thi aaj se pahle zamane ki hawa aisi na thi ye libas-e-gul ye nazm-e-gulsitan aisa na tha surkhi-e-rang-e-shafaq bu-e-hina aisi na thi meherban jis par hue us ki bujha di tishnagi mere ghar par jo barasti wo ghata aisi na thi tum ne danista wafa ke daere kam kar diye warna pahle dilbari ki ye ada aisi na thi aaj hum ne sach kaha to sab mukhalif ho gae warna ye duniya kabhi hum se khafa aisi na thi