abhi to sath rahta hai meri parchhaiyan ban kar

abhi to sath rahta hai meri parchhaiyan ban kar
bichhadne par rahega wo meri tanhaiyan ban kar

badan par is-qadar barish mere hoti hai boson ki
ki jab banhen teri mujh par khuli hon daliyan ban kar

yaqin hai jis taraf se teri aamad ka mujhe jaanan
wahin aankhen bichha rakkhi hain ghar ki khidkiyan ban kar

teri yaadon se wabasta mera kamra mera bistar
wahi yaaden ubharti hain meri angdaiyan ban kar

ba-zahir to kabhi nazdik wo aata nahin mere
magar wo sath rahta hai meri tanhaiyan ban kar

abhi to ishq baqi hai adhuri hai mohabbat bhi
khanakna hai abhi hathon mein teri chudiyan ban kar

mohazzab jin ko samjha tha saliqa jin mein jaana tha
wahi alfaz nikle hain zaban se galiyan ban kar

bahut khamosh rahta hai kabhi dil kuchh nahin kahta
akele mein dhadakta hai magar sargoshiyan ban kar

ki aatish mein mohabbat ki badan us ka jale kaise
gale lagta hai machis ki wo gili tiliyan ban kar

mohabbat se kabhi tum ne hamein jo phul bheje the
kitabon mein wo hain mahfuz bikhri pattiyan ban kar

guzarte waqt ne un ka badan bosida kar dala
wahi jo ladkiyan udti thin yaro titliyan ban kar

jinhen sukha samajh kar tum ne jin par khak dali thi
unhi patton ki rut gunji hai ghar mein taliyan ban kar

wahi sab parchiyan jin par tumhaara nam likkha tha
wahi aankhon mein chubhti hain hamare kirchiyan ban kar

dahak uttha badan us ka hamare shoala-e-lab se
jala lekin badan apna bhi aatish-baziyan ban kar

masail zindagi mein jo meri darpesh the ab tak
wo kal shab hal hue lekin meri ruswaiyan ban kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close