fasl-e-gul ki hai aabru hum se hum se hai sail-e-rang-o-bu hum se husn-e-fitrat ke raazdar hain hum phul karte hain guftugu hum se farsh gul par ba-waqt-e-subh-e-nasim aa ke milti hai ba-wazu hum se hum shahid-e-gham-o-alam hi sahi zindagi to hai surkh-ru hum se nam saqi ka ho gaya warna mai-kade mein hai ha-o-hu hum se bazm-e-rindan mein ab bhi baqi hai waqat-e-baada-o-subu hum se hum se hai 'dard'-o-'dagh' ki azmat hum se hai nam-e-'arzu' hum se sikhna ho to sikh le 'mansha' koi andaz-e-justuju hum se