qarar-e-gud-shuda mere khuda kab aaega meri duaon mein rang-e-dua kab aaega badan se bharne lage hain hum apni ruh ke ghaw hamein saliqa-e-daru-dawa kab aaega yahin kahin se wo aawaz de raha hai magar nawah-e-jaan mein mera na-khuda kab aaega ghurub hota hua raushni ka sayyara andhere mausamon mein kya pata kab aaega samaaton ko meri murgh-zar karne ko khamosh dasht mein nakhl-e-sada kab aaega hazar karwan yun to hain mere sath magar jo mere nam hai wo qafila kab aaega fasilen tut gain ho gae mahal mismar khandar mein raat gae dusra kab aaega