fasl-e-gul kuchh bhi nahin baad-e-saba kuchh bhi nahin teri mahfil ho to jannat ki faza kuchh bhi nahin jaan-o-dil kar diye hum ne teri rahon mein nisar aur hamare liye tohmat ke siwa kuchh bhi nahin pakde jaenge hamin hashr mein be-jurm-o-qusur aur gunahgar ko duniya mein saza kuchh bhi nahin un ke dil par mera ehsas-e-sitam bhi hai garan ghair ki shoala-bayani ka gila kuchh bhi nahin jam-e-jam ho kahin gardish mein magar phir bhi 'hayat' chashm-e-saqi se na chhilke to maza kuchh bhi nahin