na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale ajib shan se marne wafa-shanas chale bana ke khugr-e-ehsas-e-dard-o-gham-e-dil ko hamare pas se sare hujum-e-yas chale suna ke ahl-e-junun ko bahaar ka muzhda hawas wale bhi ek samt bad-hawas chale hayat nam hai aise safar ka ai hamdam qadam qadam pe jahan fikr-e-as-o-yas chale zaban pe aae to dar hai bane na afsana wo baat jis pe bahut har taraf qayas chale hamari dalq-nawazi pe rashk karne ko suna hai dair-o-haram se nazar-shanas chale maza to jab hai bahaaron ki faiz-o-bakhshish ka ki 'asr' jam bhi be-arz-o-iltimas chale