fasl-e-gul mein hai irada su-e-sahra apna

fasl-e-gul mein hai irada su-e-sahra apna
rang kya dekhiye dikhlata hai sauda apna

ishq mein hum jo mitate hain kisi ko kya kaam
jaan apni hai dil apna hai kaleja apna

aah hum karte hain ai yar ke mahfil walo
donon hathon se jigar tham lo apna apna

puchhte kya ho judai mein jo guzri guzri
tum ko malum hai sab haal kahen kya apna

koi mushtaq raha jalwa kisi ne dekha
is ko kya kijiye maqsum hai apna apna

zindagi shart hai kya dard-e-jigar se hoga
apne haq mein to dam apna hai masiha apna

kaam aaya amal-e-nek mera turbat mein
lillahil-hamd ki ek dost to nikla apna

puchhte hain jo koi nam mera leta hai
jaante hain wo mujhe aashiq-e-shaida apna

najd mein dard-e-jigar qais bayan karta hai
khub hi roegi dil tham ke laila apna

shahr se bhagte hain dasht mein ghabraate hain
dil bahalta hi nahin ab to kisi ja apna

ediyan mujh se ragadwaegi majnun ki tarah
nam rakkha hai shab-e-wasl ne laila apna

ai 'sharaf' khair to hai haal hai kyun sakte ka
aaina le ke zara dekho to chehra apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close