fasl-e-gul mein har ghadi ye abr-o-baran phir kahan dekh lo khush ho ke yaran ye bahaaran phir kahan hai saadat qumriyo us ke tasadduq ho chalo warna koi din ko ye sarw-e-khiraman phir kahan aaj aati hai nazar mujh dil ke shishe mein pari dekh lo lahza mein ye surat numayan phir kahan main chaman mein pi ke mai ko is liye karta hun sair kaun jaane saqiya ye gul-azaran phir kahan qaul hai hazrat 'yaqin' ka tab to yun kahta hai 'nain' bhar ke dil ro lijiye ye chashm-e-giryan phir kahan