fasl-e-gul sare gulistan ko nikhaar aai hai

fasl-e-gul sare gulistan ko nikhaar aai hai
phul to phul hain kanton pe bahaar aai hai

surkh dore teri aankhon ke hain ghammaz sanam
kah diya shab ka fasana jo guzar aai hai

aai tahzib nai to yahi malum hua
rukh-e-mazi se naqabon ko utar aai hai

chand taron se saji meri shab-e-gham dekho
nur ke dole pe yaadon ki bahaar aai hai

tirgi aaj shab-e-gham ki mitane ke liye
meri palkon pe sitaron ki qatar aai hai

jab hua un ko yaqin main hua gharqab-e-wafa
tab sahaare ke liye un ki pukar aai hai

meri sanson mein basi phir wahi khushbu 'monis'
kya saba gesu-e-mahbub sanwar aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close