na apni quwwat-e-danish na qudrat-e-binish

na apni quwwat-e-danish na qudrat-e-binish
sukhanwaron ne na chhodi gadagaron ki rawish

taqaza garche zamane ka hai sukut-talab
zamir chikh raha hai labon ko do jumbish

hua ye haal ki hathon se haal bhi phisla
sametne ki jo mazi ko main ne ki koshish

shafaq ke khun ka ghaza hai sham ke rukh par
mah-o-nujum ne suraj se chhin li tabish

‘alamaton ke tarashen nae nae paikar
‘urus-e-lafz ko pahnaiye nai poshish

gham-e-hayat hua hai ‘azab-e-jaan 'nawak'
sulaiye abadi nind de ke mujhe ko wish


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close