fasl-e-gul sath liye bagh mein kya aati hai bulbul-e-naghma-sara ru-ba-qaza aati hai dil dhadakta hai ye kahte hue us mahfil mein yan kisi ko khafaqan ki bhi dawa aati hai aaj wo shokh hai aur kasrat-e-araish hai dekh kis waste pisne ko hina aati hai kya khule bagh mein wo chashm-e-hijab-aluda aankh uthate hue nargis ko haya aati hai jaan-kani husn-paraston ko giran kya guzre bhes mein hur-e-bahishti ke qaza aati hai is liye rashk-e-chaman bagh mein gul hanste hain ki udati teri raftar saba aati hai maraz-e-ishq se 'bimar' jo ghabraata hai yar kahta hai mujhe khub dawa aati hai