fasl-e-gul tohmat-e-junun lai basti basti hui hai ruswai shahr mein jab se aa gaya hun tere aur bhi badh gai hai tanhai aarzu ek na-shagufta kali jo sar-e-shakh-sar murjhai aashiqi ek dabi hui si chot bhige mausam mein jo ubhar aai zindagi sham-e-gham ki banhon mein ek sulagti hui si tanhai log kahte hain ahl-e-dil ko kabhi zindagi ras hi nahin aai hausla ho to ai gham-e-jaanan kaun tera nahin tamannai