baithe hue hain hum khud aankhon mein dhul dale ai ru-e-yar tu ne parde fuzul dale jhagda hi tum chuka do jab tegh khinch li hai aafat mein phir na mujh ko jaan-e-malul dale surat to ek hi thi do ghar hue to kya hai dair-o-haram ki babat jhagde fuzul dale turbat se koi puchhe nairangi-e-zamana bazon ne khak dali bazon ne phul dale kahte hain jis ko jalwa wo bhi kahin ruka hai aaden fuzul ki hain parde fuzul dale sadqe dil-o-jigar ko mizhgan pe kar chuka hun main ne to apne hathon kanton pe phul dale kaise hisab jodun aamal-e-masiyat ka jab us ki shan-e-rahmat ginti mein bhul dale 'muztar' dilon ke andar rakhne ke the ye kafir dozakh mein kyun khuda ne jannat ke phul dale