fasl-e-junun ke bab mein hum ne jo bhi kahani likhi hai manzar-nama jaisa bhi ho baat hamari apni hai arz-e-watan se aane wale des ka kuchh ahwal suna khauf ki chadar odhe baithi qaum ki haalat kaisi hai zindabaad na kahne wale kitne baghi qatl hue muhr-ba-lab logon ke ghar kya sach-much roti pakti hai kitne bachchon ka mustaqbil tauq-e-asiri pahne hai kitne raushan chehron par tahrir ghulami likkhi hai marne wale marne wale ek hi ghar mein rahte hain chaukhat chaukhat bahne wale khun ki rangat kaisi hai kya koi dar pe sajne wala in rahon se guzra hai shahr ke sare raston par ye kaisi gahma-gahmi hai tahzibon ke jangal mein ye kaisa mohazzab aaqa hai jis ne har insan ki qimat sirf ek goli rakkhi hai khwabon ki tabir na dhundo tabiron se khwab buno har dil ko jo chhu kar guzre ye wo kahawat lagti hai aaj hamein 'ashur' kisi ne behis qaum ka fard kaha lahja talkh tha lafz bure the baat to shayad sachchi hai