pas-manzar-e-sukun mein bhi ek be-kali mili chehron ke izhdiham mein be-chehragi mili zehnon mein ab bhi ghar ki ghutan ka khayal hai ghurbat mein sirf jism ko aasudgi mili aankhon ke mai-kadon se tamanna ke shahr tak har-gam ek sarab mila tishnagi mili suraj se hai khiraj ki talib sipah-e-sham kya phir yazid-e-shab ko kahin sarwari mili ye to hua ki zulm ko mohlat mili magar taqdis-e-fikr-o-zehn ko paighambari mili daulat ke eqtidar ka parcham nigun hua mehnat ke eatibar ko tesha-gari mili kuchh log to sarab se bhi pa gae murad hum ko samundaron se bhi tishna-labi mili