fasl-e-junun mein daman-o-dil chaak bhi nahin kya dasht hai ki udti kahin khak bhi nahin jina tera muhaal to hona hi tha ki tu is daur ke hisab se chaalak bhi nahin raqs-e-junun to khair badi baat hai magar ab shahar mein numaish-e-idrak bhi nahin achchha hua ki jald hi tu ne utar di jachti hai sab pe dard ki poshak bhi nahin dariya kuja ki tishna-labon ke liye to ab raste mein koi dida-e-namnak bhi nahin wo din bhi the ki aankh bichhate the barg-o-gul ab mujh pe multafit khas-o-khashak bhi nahin dhul jaen jis ke lams se dil ki kasafaten banhon mein wo tera badan-e-pak bhi nahin kyun sogwar ab bhi hai marg-e-zamir par wo waqia tha utna alamnak bhi nahin ek umr se kinara-e-be-chaaragi pe hun dariya chadha hai aur main tairak bhi nahin kyun khushk ho gaya shajr-e-arzu 'salim' mausam tha jabki zist ka saffak bhi nahin