soz-o-gudaz-o-jazb-o-asar kaun le gaya hum se mata-e-dard-e-jigar kaun le gaya kya ho gaya hai gardish-e-dauran tu hi bata husn-o-jamal-e-sham-o-sahar kaun le gaya shoridgi-e-ishq ki lazzat kahan gai sauda tha jis mein tera wo sar kaun le gaya manzil ki samt badhte nahin kis liye qadam ai dil mataa-e-azm-e-safar kaun le gaya din mein harim-e-naz ke jalwe the sab nihan shab mein rida-e-najm-o-qamar kaun le gaya charche the ilm-o-fazl ke duniya-jahan mein ganjina-ha-e-ilm-o-hunar kaun le gaya jibril ke bhi jalte hain par jis jagah 'habab' us ja pe khak-e-pa-e-bashar kaun le gaya