fasl jo chahen kaTna bo bhi nahin sakte

fasl jo chahen katna bo bhi nahin sakte
aur ye lamhe raegan kho bhi nahin sakte

ab to hansi aa jati hai jab ho ye dhyan ki hum
rone wali baat par ro bhi nahin sakte

khwabon ke sab qafile din ke safar par hain
shab ko lambi tan kar so bhi nahin sakte

dil se aakhir dho chalen gard-e-kudurat kyun
jab hum tera aaina ho bhi nahin sakte

koi hamein pahchan le yun to mushkil hai
lekin hum is bhid mein kho bhi nahin sakte

us ke karam ki barishen yun to barasti hain
dagh kuchh aise hain ki hum dho bhi nahin sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close