guftugu karte raho raat guzar jaegi nur ki koi kiran dil mein utar jaegi naujawan qaum ka sarmaya hua karte hain tum jo bikhre to miyan qaum bikhar jaegi zarf wala kisi kam-zarf ka ehsan le kar zindagi lakh jiye ruh to mar jaegi mauj-e-khun sar se guzarti hai guzar jaane de kam se kam qaum ko bedar to kar jaegi apni munh zor tamannaon pe qabu kar lo warna sar se miyan dastar utar jaegi apni shohrat pe na itrana kabhi tu 'wasiq' ye nadi wo hai jo ek roz utar jaegi