fasla jab mujhe ehsas-e-thakan bakhshega panw ko phul bhi kanton ki chubhan bakhshega kitne suraj isi jazbe se ugae main ne koi suraj to mere ghar ko kiran bakhshega chahta hun ki kabhi mujh ko bhi bistar ho nasib jaane kis roz khuda mujh ko badan bakhshega log kahte hain ki sahra ko gulistan kah do us ke badle mein wo chandi ke saman bakhshega be-libasi ka karen bhi to gila kis se karen zinda lashon ko yahan kaun kafan bakhshega sirf do-chaar darakhton pe qanaat kaisi wo sakhi hai to mujhe sara chaman bakhshega chhin kar mujh se wo lamhon ki latafat 'azar' zehn-e-asuda ko sadiyon ki thakan bakhshega