sharab-o-shisha-o-saghar subu-o-paimana fida-e-nim-nigahi tamam mai-khana qadam qadam pe mashiyyat ne panw chume hain ye kis maqam se guzra hai tera diwana kabhi kabhi to haram kya hai but-kada kya hai main tere dar se bhi guzra hun be-niyazana usi ke dam se hai raushan harim-e-kaba-e-dil khuda kare ki na gul ho charagh-e-but-khana jamal-e-yar jhalakta hai 'arzu' jis mein meri ghazal hai wo rangin aaina-khana