fasla to hai magar koi fasla nahin mujh se tum juda sahi dil se tum juda nahin karwan-e-arzu is taraf na rukh kare un ki rahguzar hai dil aam rasta nahin ek shikast-e-aina ban gai hai saneha tut jae dil agar koi hadsa nahin aaiye charagh-e-dil aaj hi jalaen hum kaisi kal hawa chale koi jaanta nahin aasman ki fikr kya aasman khafa sahi aap ye bataiye aap to khafa nahin kis liye 'shamim' se itni bad-gumaniyan mil ke dekhiye kabhi aadmi bura nahin