main to kahta hun tumhi dard ke darman ho zarur aur wo kahte hain ki tum aaj pareshan ho zarur chaman-e-shahr to viran tha magar is ghar mein itni nikhat hai ki tum ek gulistan ho zarur mujh ko dikhlao na apni ye ada-e-jalwa chalo taslim ki tum mujh mein bhi pinhan ho zarur main ki aawara-tarab-kosh sharabi lekin tum ki mukhlis ho meri zat pe nazan ho zarur nazm-o-afsana likhun chup rahun ya baat karun tum ba-har-rang magar mujh mein numayan ho zarur warna kyun aankh mein aansu hun ba-waqt-e-dushnam dushmano tum bhi meri zist ke khwahan ho zarur doston mein to koi tum ko na puchhega 'salam' azmat-e-raushni-e-bazm-e-harifan ho zarur