fasle kam kiya kare koi jab kisi se mila kare koi khubsurat khata kare koi bewafa se wafa kare koi aadmi sa ho aadmi se suluk ye samajh kar gila kare koi kash aisi kabhi ghadi aae main kahun aur suna kare koi nok-e-mizhgan se dil ki takhti par nam apna likha kare koi dene dil ko azab chahat ka mujh se 'ashraf' mila kare koi