fasurda dagh-e-jigar dil-ruba nahin rahta charagh ishq ka hargiz bujha nahin rahta baghal mein rashk se dil dil-ruba nahin rahta khafa hai ye ki tu mujh se khafa nahin rahta hamesha husn sun ai bewafa nahin rahta kabhi zamana sada ek sa nahin rahta bujhi jo shama to parwanon pe hua raushan ki baad-e-marg koi aashna nahin rahta kahan wo girya wo nala wo jaan-ba-lab rahna kisi ka kaam hamesha bana nahin rahta khuda-na-khasta tum to sanam nahin aise tumhaare dil mein to kina sada nahin rahta kaha jo main ne ki ai rashk-e-mah ghar mein mere tu mehrbani se kyun ek zara nahin rahta laga ye kahne ki han han hai ye bhi apna shauq nahin nahin nahin rahta hun ja nahin rahta jo mujh ko kahiye main aankhon se zabt-e-girya karun mera qusur nahin dil mera nahin rahta yahan mujhe hi nasihat ko hain sabhi maujud wahan to hosh kisi ka baja nahin rahta ye dagh-e-ishq hai kyun-kar na gul khile is ka hazar is ko chhupao chhupa nahin rahta jo dil liya hai to bosa bhi do samajh rakkho ki bad-moamlagi mein maza nahin rahta lagai tak hai kyun mohtasib ne tujh pe dila agar tu dukhtar-e-raz se bhala nahin rahta na khinch tegh tu 'ehsan' na-tawan pe aah miyan ye zor kisi ka sada nahin rahta