khizan jab tak chali jati nahin hai chaman walon ko nind aati nahin hai jafa jab tak ki chaunkati nahin hai mohabbat hosh mein aati nahin hai jo rota hun to hansta hai zamana jo sota hun to nind aati nahin hai tumhaari yaad ko allah rakkhe jab aati hai to phir jati nahin hai kali bulbul se shokhi kar rahi hai zara phulon se sharmati nahin hai jahan mai-kash bhi jaen darte darte wahan waiz ko sharm aati nahin hai nahin milti to hangame hain kya kya jo milti hai to pi jati nahin hai jawani ki kahani dawar-e-hashr sar-e-mahfil kahi jati nahin hai kahan tak shaikh ko samjhaiyega buri aadat kabhi jati nahin hai ghadi bhar ko jo bahlae mera dil koi aisi ghadi aati nahin hai hansi 'bismil' ki haalat par kisi ko kabhi aati thi ab aati nahin hai