fasurda-dil hain KHushi se bichhaD gae hain log

fasurda-dil hain khushi se bichhad gae hain log
khuda ko bhul ke mushkil mein pad gae hain log

gham aur dard ke jangal uge hain chehron par
nae zamane mein kitne ujad gae hain log

sitam ki aandhi ne mismar kar diya in ko
ye lag raha hai jadon se ukhad gae hain log

najat ki koi surat nazar nahin aati
dukhon ke phande mein aise jakad gae hain log

the rah-e-rast pe jab tak pade the pasti mein
bulandiyon pe pahunch kar bigad gae hain log

bhula diye hain khulus-o-wafa ke sare sabaq
mafad khatre mein aaya to lad gae hain log

ajib chiz ana ka khumar bhi hai 'kamal'
nihatte ho ke bhi maidan mein ad gae hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close