qad sab ke unki bazm mein kam kar diye gae

qad sab ke un ki bazm mein kam kar diye gae
jo sar nahin jhuke wo qalam kar diye gae

chehron pe hadsat raqam kar diye gae
sab khush-mizaj waqf-e-alam kar diye gae

qahr-e-khuda hua to koi uf na kar saka
sare wajud pal mein adam kar diye gae

jo sath sath chal na sake waqt ke yahan
wo log sirf naqsh-e-qadam kar diye gae

har be-zamir shakhs ne khushiyan samet lin
hamrah ahl-e-zarf ke gham kar diye gae

'arif' darun-e-kaba kabhi but bhi the magar
matub sare ahl-e-haram kar diye gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close